dariya se ikhtilat hai hum ro nahin rahe rona hamari zat hai hum ro nahin rahe is bad-dimagh dil ne kiya zabt ka bhi khun ye sirf wardat hai hum ro nahin rahe kitne dinon ke baad khushi se mile hain hum phir bhi ajib baat hai hum ro nahin rahe ye din bhi koi din tha ajab khush-gawar din ye raat koi raat hai hum ro nahin rahe rone lage to kaun hamein chup karaega so is ka ehtiyat hai hum ro nahin rahe aansu kamae hain so tere din ke liye maula yahi zakat hai hum ro nahin rahe