ummidon ke panchhi ke par niklenge mere bachche mujh se behtar niklenge laxman-rekha bhi aakhir kya kar legi sare rawan ghar ke andar niklenge dil to station ke raste chala gaya panw hamare thoda so kar niklenge achchhi achchhi baaten to sab karte hain in mein se hi bad se bad-tar niklenge bazaron ke dasturon se waqif hain sare aansu andar dhak kar niklenge dil wale to aahat par chal dete hain aql ke bande soch-samajh kar niklenge