umr bhar chalta rahun ye hadisa rahne diya us ne manzil chhin li aur rasta rahne diya is tarah us ne kiya bimari-e-gham ka ilaj achchha hone par bhi mohtaj-e-dawa rahne diya jab gae the meri rahon mein jala kar tum charagh aandhiyon ko kis liye mujh se khafa rahne diya chahe jhuta hi sahi us ne dilasa to diya kam se kam jine ka mere silsila rahne diya tha haqiqat par fida sone se bhi darta raha umr bhar aankhon ko khwabon se juda rahne diya yun kiya mujh par sitam aakhir teri pahchan ne meri hi pahchan ko mujh se juda rahne diya khud se jab andaz milne ka nahin tha hausla aaina chehre ke aage kyon rakha rahne diya