ab gham ka koi gham na khushi ki khushi mujhe aakhir ko ras aa hi gai zindagi mujhe wo qatl kar ke mujh ko pasheman hue to kya lauta sakenge phir na meri zindagi mujhe sare jahan mein hoti hai amn-o-aman ki baat lekin nazar na aai kahin aashti mujhe neza uthae phirti hai har rah mein qaza har mod par hiras mili zindagi mujhe main ghunt ghunt jam se bahlaun ji ko kya be-khauf kash kar hi de tishna-labi mujhe ek lazzat-e-gunah thi kya lazzat-e-gunah ta-umr ras aai na phir bandagi mujhe kuchh aarzu nahin ki farishta banun 'anis' kafi hai han jo log kahen aadmi mujhe