umr bhar ek mohabbat ki kami rahti hai ashk bah jaen to aankhon mein nami rahti hai dhup nikle to pighalte nahin dil ke mausam ek do roz to ye barf jami rahti hai main kabhi ishq mein paspa nahin hone wala jang haarun bhi to sabit-qadami rahti hai is tarah us ki mohabbat ka hai baadal mujh par kahkashan jaise fazaon mein thami rahti hai maen to sab ki zamane se guzar jati hain dast-e-shafqat ki bahar-haal kami rahti hai