umr-bhar ki talkh bedari ka saman ho gain hae wo raaten ki jo khwab-e-pareshan ho gain main fida us chand se chehre pe jis ke nur se mere khwabon ki fazaen yusufistan ho gain umr-bhar kam-bakht ko phir nind aa sakti nahin jis ki aankhon par teri zulfen pareshan ho gain dil ke pardon mein thin jo jo hasraten parda-nashin aaj wo aankhon mein aansu ban ke uryan ho gain kuchh tujhe bhi hai khabar o sone wale naz se meri raaten lut gain ninden pareshan ho gain hae wo mayusiyon mein meri ummidon ka rang jo sitaron ki tarah uth uth ke pinhan ho gain bas karo o meri rone wali aankhon bas karo ab to apne zulm par wo bhi pasheman ho gain aah wo din jo na aae phir guzar jaane ke baad hae wo raaten ki jo khwab-e-pareshan ho gain gulshan-e-dil mein kahan 'akhtar' wo rang-e-nau-bahaar aarzuen chand kaliyan thin pareshan ho gain