zarra jo koi mehr ke misdaq ho gaya sab shahr us ki dhup ka mushtaq ho gaya qasr-e-khayal khwab-e-makan aastan-e-dil rakkhi jahan bhi shama wahi taq ho gaya in khwahishon ke nag ne kya das liya mujhe mohlik tha jo wo zahr bhi tiryaq ho gaya wabasta ho gae hain ab us ki ada se hum hum par bhi us ke hukm ka itlaq ho gaya 'rahat' pas-e-murad adab guftugu rahi phir yun hua ki wo bhi bad-akhlaq ho gaya