umr-bhar kuchh is tarah hum jagte sote rahe bhid mein hanste rahe tanhai mein rote rahe raushni ki thi kahan fursat jo wo ye sochti kaise kaise us ki khatir hum hawan hote rahe dhup ki faslen ugengi ye hamein malum tha phir bhi hum sab ke dilon mein chandni bote rahe sare bojhon ko bada achraj hai kaise hum unhen phul jaisi zindagi ki pith par dhote rahe un hi zakhmon ne hamein saunpi karahen ai 'kunwar' jin ke munh hum aansuon ke nir se dhote rahe