in shokh hasinon ki nirali hai ada bhi but ho ke samajhte hain ki jaise hain khuda bhi ghabra ke uthi hai meri baalin se qaza bhi jaan-bakhsh hai kitni tere daman ki hawa bhi yun dekh rahe hain meri jaanib wo sar-e-bazm jaise ki kisi baat pe khush bhi hain khafa bhi mayus-e-mohabbat hai to kar aur mohabbat kahte hain jise ishq maraz bhi hai dawa bhi tujh par hi 'sahar' hai ki tu kis haal mein kate jina to haqiqat mein saza bhi hai jaza bhi