umr bhar us ne isi tarah lubhaya hai mujhe wo jo is dasht ke us par se laya hai mujhe kitne aainon mein ek aks dikhaya hai mujhe zindagi ne jo akela kabhi paya hai mujhe tu mera kufr bhi hai tu mera iman bhi hai tu ne luta hai mujhe tu ne basaya hai mujhe main tujhe yaad bhi karta hun to jal uthta hun tu ne kis dard ke sahra mein ganwaya hai mujhe tu wo moti ki samundar mein bhi shoala-zan tha main wo aansu ki sar-e-khak giraya hai mujhe itni khamosh hai shab log dare jate hain aur main sochta hun kis ne bulaya hai mujhe meri pahchan to mushkil thi magar yaron ne zakhm apne jo kurede hain to paya hai mujhe waiz-e-shahr ke naron se to kya khulti aankh khud mere khwab ki haibat ne jagaya hai mujhe ai khuda ab tere firdaus pe mera haq hai tu ne is daur ke dozakh mein jalaya hai mujhe