use hum bhi bhul baithe na kar us ka zikr tu bhi koi chaak agar ho zahir to karen use rafu bhi chalo chal ke puchh aaen ki khizan ki is gali mein kabhi aa chuka ho shayad koi sail-e-rang-o-bu bhi udi tishnagi ke kuche mein wo gard ek taraf se hum utha sake na taqon se gire hue subu bhi abhi kaise bhul jaun main ye waqia safar mein abhi gard-e-raftagan bhi hai jagah jagah lahu bhi is iram iram zamin par ki bahaar umand rahi hai koi phul agar khila de meri be-numu bhi teri anjuman ki raunaq mein na farq aaega kuchh hamein chup bithane wale kabhi hum se guftugu bhi mere khal-o-khad ko surat ka farogh dene walo kisi naqsh mein dikhao mera zakhm-e-shola-ru bhi