sabz lahja kahan samajhta hai wo to apni zaban samajhta hai zawiye ras aa gae us ko dhup ko saeban samajhta hai raste khul gae hain us pe magar manzilon ko dhuan samajhta hai karta hai jald-baziyan insan sabr ko raegan samajhta hai maut ka chehra dekh kar bhi waqt zist ko jawedan samajhta hai