umr guzri jis ka rasta dekhte aa bhi jata wo to hum kya dekhte kaise kaise mod aae rah mein sath chalte to tamasha dekhte qarya-qarya jitna aawara phire ghar mein rah lete to duniya dekhte gar baha aate na dariyaon mein hum aaj un aankhon se sahra dekhte khud hi rakh aate diya diwar par aur phir us ka bhadakna dekhte jab hui tamir jism o jaan to log hath ka mitti mein khona dekhte do qadam chal aate us ke sath sath jis musafir ko akela dekhte e'tibar uth jata aapas ka 'jamal' log agar us ka bichhadna dekhte