nazar fareb-e-qaza kha gai to kya hoga hayat maut se takra gai to kya hoga ba-zom-e-hosh tajalli ki justuju be-sud junun ki zad pe khirad aa gai to kya hoga nai sahar ke bahut log muntazir hain magar nai sahar bhi jo kajla gai to kya hoga na rahnumaon ki majlis mein le chalo mujh ko main be-adab hun hansi aa gai to kya hoga shabab-e-lal-o-gul ko pukarne walo khizan-sarisht bahaar aa gai to kya hoga khushi chhani hai to gham ka bhi e'timad na kar jo ruh gham se bhi ukta gai to kya hoga ye fikr kar ki in aasudgi ke dhokon mein teri khudi ko bhi maut aa gai to kya hoga laraz rahe hain jigar jis se kohsaron ke agar wo lahr yahan aa gai to kya hoga wo maut jis ki hum 'ehsan' sun rahe hain khabar rumuz-e-zist bhi samjha gai to kya hoga