umr ki is naw ka chalna bhi kya rukna bhi kya kirmak-e-shab hun mera jalna bhi kya bujhna bhi kya ek nazar us chashm-e-tar ka meri jaanib dekhna aab-shaar-e-nur ka phir khak par girna bhi kya zakhm ka lagna hamein darkar tha so is ke baad zakhm ka risna bhi kya aur zakhm ka bharna bhi kya tere ghar tak aa chuki hai dur ke jangal ki aag ab tera is aag se darna bhi kya ladna bhi kya dar dariche wa magar bazar-e-galiyan mohr-band aise zalim shahr mein jina bhi kya marna bhi kya tujh se ai sang-e-sada is reza reza daur mein ek zara se dil ki khatir dosti karna bhi kya