waiz ke main zarur darane se dar gaya jam-e-sharab lae bhi saqi kidhar gaya bulbul kahan bahaar kahan baghban kahan wo din guzar gae wo zamana guzar gaya aisi hawa chali meri aahon ki raat ko sab aasman pe khirman-e-anjum bikhar gaya achchha hua jo ho gae wahdat-parast hum fitna gaya fasad gaya shor-o-shar gaya kabe ki samt sajda kiya dil ko chhod kar tu kis taraf tha dhyan hamara kidhar gaya phir sair-e-lala-zar ko hum ai 'saba' chale aai bahaar dagh-e-junun phir ubhar gaya