umr ki sari thakan lad ke ghar jata hun raat bistar pe main sota nahin mar jata hun akasr auqat bhare shahr ke sannate mein is qadar zor se hansta hun ki dar jata hun mujh se puchhe to sahi aaina-khana mera khal-o-khad le ke main hamrah kidhar jata hun dil thahar jata hai bhuli hui manzil mein kahin main kisi dusre raste se guzar jata hun sahma rahta hun bahut halqa-e-ahbab mein main chaar diwar mein aate hi bikhar jata hun mere aane ki khabar sirf diya rakhta hai main hawaon ki tarah ho ke guzar jata hun main ne jo apne khilaf aap gawahi di hai wo tere haq mein nahin hai to mukar jata hun