use chhute hue bhi Dar raha tha

use chhute hue bhi dar raha tha
wo mera pahla pahla tajraba tha

agarche dukh hamare mushtarak the
magar jo do dilon mein fasla tha

kabhi ek dusre par khul na pae
hamare darmiyan ek tisra tha

wo ek din jaane kis ko yaad kar ke
mere sine se lag ke ro pada tha

use bhi pyar tha ek ajnabi se
mere bhi dhyan mein ek dusra tha

bichhadte waqt us ko fikr kyun thi
basar karni to mera masala tha

wo jab samjha mujhe us waqt 'anjum'
mera mear hi badla hua tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close