umr mein us se badi thi lekin pahle tut ke bikhri main sahil sahil jazbe the aur dariya dariya pahunchi main shahr mein us ke nam ke jitne shakhs the sab hi achchhe the subh-e-safar to dhund bahut thi dhupen ban kar nikli mein us ki hatheli ke daman mein sare mausam simte the us ke hath mein jagi main aur us ke hath se ujli main ek mutthi tariki mein tha ek mutthi se badh kar pyar lams ke jugnu pallu bandhe zina zina utri main us ke aangan mein khulta tha shahr-e-murad ka darwaza kuen ke pas se khali gagar hath mein le kar palti main main ne jo socha tha yun to us ne bhi wahi socha tha din nikla to wo bhi nahin tha aur maujud nahin thi main lamha lamha jaan pighlegi qatra qatra shab hogi apne hath larazte dekhe apne-ap hi sambhali main