mujh ko to maraz hai be-khudi ka zahid ko guman hai mai-kashi ka har rang hai tere aage phika mahtab hai phul chandni ka chal jaega kaam kuchh kisi ka munh mud na gaya agar chhuri ka har waqt hain maut ki duaen allah re lutf zindagi ka aaina bana rahe ho dil ko dil tut na jae aarsi ka hum kahte the jude mein nahin phul aakhir nikla wo dil kisi ka kahiye abhi ek ada pe kat jaen dam dekhte the faqat chhuri ka mitti nahin dushmani kisi ki rang us mein hai meri dosti ka bose ko jagah mili labon par ab rang jamega kya misi ka pyare pyare the phul se honth dhabba ye bura laga misi ka ithla ithla ke un ko chalna mit jae bala se dil kisi ka pate hain jo mujh ko ji se bezar kahte hain maza hai aashiqi ka hon ek se sab hasin kyunkar hai rang juda kali kali ka pahle to the mahw-e-did musa ab lete maza hain be-khudi ka samjhe the na hum ko tum pe marna ho jaega rog zindagi ka shokhi mazmun ki le udi hai aalam hai sher mein pari ka khinchen jo wo tir dil bhi de sath haq kuchh to ada ho dosti ka nale bulbul ke the ki chhuriyan dil tukde hua kali kali ka uthne na diya kisi ke dar se ehsan hai mujh pe laghari ka phulon se kaho ki roti hai os ab is se maza nahin hansi ka kahte the na hum 'jalil' tum se anjam bura hai dil-lagi ka