umr sari teri chahat mein bitani paD jae

umr sari teri chahat mein bitani pad jae
ye bhi mumkin hai ki ye aag bujhani pad jae

meri is khana-badoshi ka sabab puchhte ho
apni diwar agar tum ko girani pad jae

mere aada se kaho had se tajawuz na karen
ye na ho mujh ko bhi shamshir uthani pad jae

kya tamasha ho agar waqt ke sultan ko bhi
dar-e-insaf ki zanjir hilani pad jae

kash phir mujh se wo puchhen meri wahshat ka sabab
kash phir mujh ko wo taswir dikhani pad jae

dasht se shahr mein kuchh soch ke aana 'asif'
zindagi bhar ki riyazat pe na pani pad jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close