dard ki ek kitab hai koi

dard ki ek kitab hai koi
zindagi iztirab hai koi

tirgi ki ada batati hai
danw par mahtab hai koi

ho gaya jis ko wo hua tanha
ishq bhi ek azab hai koi

teri jaanib hi khinch lati hai
yaad jaise sarab hai koi

us ka khamosh dekhna bhar hi
ek mukammal jawab hai koi

ji raha hai magar nahin jita
yun bhi khana-kharab hai koi

hae tahrir us ki aankhon ki
go ki mushkil kitab hai koi

tu mere samne rahe phir bhi
main samajhti hun khwab hai koi

tishnagi aur badhti jati hai
teri qurbat sarab hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close