umumi soch se badh kar bhi kuchh fankar rakhta hai wasila koi bhi ho quwwat-e-izhaar rakhta hai mera ye dil ba-zahir maslahat-andesh hai lekin ana hawi agar ho jurat-e-inkar rakhta hai reaya khud ko kitni be-aman mahsus karti hai adawat shah se jab bhi sipah-salar rakhta hai tajjub hai wafa ke bab mein bhi had muqarrar hai wo sab samton mein jaise kanch ki diwar rakhta hai hamari chahaten sach hain magar haalat ka dariya mujhe is par rakhta hai tujhe us par rakhta hai nahin apni khabar 'farhan' ko lekin ba-sad hairat wo apne sath har dam subh ka akhbar rakhta hai