dil ko zara qarar tha wo bhi nahin raha aankhon ko intizar tha wo bhi nahin raha wo sath tha to sath mein meri bhi zat thi mera kahin shumar tha, wo bhi nahin raha us se hue juda to phir khud ko bhi kho diya khud par jo e'tibar tha wo bhi nahin raha daman mein koi chand, sitara na aaftab jugnu par inhisar tha wo bhi nahin raha jheli thin jis ke sang hi ye ranjishen kabhi ek dal hi gham-gusar tha wo bhi nahin raha uljha tha mere dil mein jo muddat se ek sawal lab par jo bar bar tha wo bhi nahin raha jis par charagh roz jalati thi raat ko dil mein jo ek mazar tha wo bhi nahin raha muddat se us ki rah mein dil tha bichha hua sochon mein wasl-e-yar tha wo bhi nahin raha taqdir ki asir hun jis ke liye ye dil muddat se ashk-bar tha wo bhi nahin raha mabud mere mera muqaddar tu dekh le khud par jo ikhtiyar tha wo bhi nahin raha