umur-e-KHair mein kuchh ehtimam ho na saka

umur-e-khair mein kuchh ehtimam ho na saka
mal nek ho jis ka wo kaam ho na saka

baghair manzil-e-awwal qayam ho na saka
jab aaya coach ka din phir maqam ho na saka

har ek murtakib masiyat yahan se gaya
kisi bashar se farishte ka kaam ho na saka

qadam kisi ki na thahri jab aab-o-dana utha
guhar se batn-e-sadaf mein qayam ho na saka

sharab-e-ab-e-khajalat nigah mein thahre
ki chashm-e-yar se ham-chashm jam ho na saka

nazakat us ke qadam chumti hai dekha hai
kadi pahan liye jis din khiram ho na saka

mile na un se mile hum juda hue jab se
phata dil aisa ki phir iltiyam ho na saka

har ek ranj ko rahat samajh li shukr kiya
kare shikayat-e-aqa ghulam ho na saka

kisi ke mulk-e-itaat mein aamli na chale
fasad-e-nafs raha intizam ho na saka

hua hai aatish-e-gul mein lagi ye talwon se
ude sharar ki tarah hum qayam ho na saka

gae jo shikwe ko apna sa munh wo le ke phire
mili zaban na munh mein kalam ho na saka

sharab tark ki hum ne raqib ke hathon
lahu ke ghunt piyen hum mudam ho na saka

kabhi wafai na hilne diya lab-e-fariyaad
buton se hashr mein bhi intiqam ho na saka

hazar nemat-e-duniya ne hum ko lalchaya
halal luqma hamara haram ho na saka

nasib ho na taraqqi to badh hai be-kar
hilal tegh ka mah-e-tamam ho na saka

hai yaadgar zamane mein apni tanhai
faqir ka koi qaim maqam ho na saka

hazar mauj-sifat 'bahr' dast-o-pa mare
habab san magar apna qayam ho na saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close