un aankhon se pahle bhi kahin baat hui hai sochunga kahan tum se mulaqat hui hai taqdis-e-mohabbat pe kahin harf na aae taskin-e-hawas shamil-e-jazbaat hui hai ye raushni shaista ujalon ka hai dhoka ai dost abhi khatm kahan raat hui hai haalat hi aise hain ki thamte nahin aansu ab zindagi be-waqt ki barsat hui hai jis roz se hum shahr-e-tamanna mein lute hain afsurdagi ham-shakl-e-munajat hui hai tum bhi to 'rais' aaj nae zehn se socho ab tak to ghazal nazr-e-riwayat hui hai