un ka barbaad-e-karam kahne ke qabil ho gaya dard pahlu mein jahan bhi tha wahin dil ho gaya barha dekha hai dil ne o mere mahw-e-khiram hashr uttha aur tere qadmon mein shamil ho gaya dil jahan uchhla faza-e-do-jahan par chha gaya arsa-e-kaunain jab simta mera dil ho gaya be-khabar rahna hi achchha is jahan-e-ghair mein mit gaya jo waqif-e-adab-e-mahfil ho gaya jo nigah-e-shauq utthi husn ban kar rah gai jo qadam hum ne uthaya naqsh-e-manzil ho gaya ya kabhi manzil thi maqsud-e-mazaq-e-justuju ya mazaq-e-justuju maqsud-e-manzil ho gaya hae 'basit' ye mere khun-e-tamanna ka asar aur bhi rangin kuchh daman-e-qatil ho gaya