un ka jalwa nahin dekha jata dekh dekha nahin dekha jata qatl karne ki wo jaldi thi tumhein ab tadapna nahin dekha jata chashm-e-khun-bar khuda rahm kare tera rona nahin dekha jata ulfat unki nahin chhodi jati haal dil ka nahin dekha jata dekhne hi ke liye hain aankhen un se kya kya nahin dekha jata par teri barq-e-tajalli ka jamal khub dekha nahin dekha jata nama pura wo 'hasan' kya dekhen nam pura nahin dekha jata