wo man gae to wasl ka hoga maza nasib dil ki girah ke sath khulega mera nasib khaenge rahm aap agar dil bigad gaya ho jaega milap agar lad gaya nasib shab bhar jamal-e-yar ho aankhon ke ru-ba-ru jagen nasib jis ko ho ye ratjaga nasib pahra diya hai daulat-e-bedar-e-husn ka soe jo wo baghal mein to jaga mera nasib pahuncha ke meri khak dar-e-yar tak saba rukhsat hui ye kah kar ab aage tera nasib ai dil wo tujh se kahte hain meri bala mile aise tere nasib kahan ai bala-nasib jab dard-e-dil badha to unhen rahm aa gaya paida hui chamak to chamakne laga nasib dushman ko lutf-e-wasl 'hasan' ko gham-e-firaq har shakhs ka juda hai muqaddar juda nasib