un ka mansha hai na phaile khas-o-khashak mein aag aatish-e-dil na laga dida-e-namnak mein aag barq-e-gham ban ke jo ehsas-e-nazar phunk gai is qadar thi tere ek jumla-e-be-bak mein aag shoala-e-mai ki nawazish hai to lag jaegi saz-e-hasti ke har ek naghma-e-napak mein aag un ke aangan mein bhi angare baras jaenge aah-e-sozan na laga daman-e-aflak mein aag qafile aur bhi manzil ki taraf aate hain tum sar-e-rah dabao na abhi khak mein aag shukr hai us ki tamanna hui puri yarab tere diwane ki muddat se rahi tak mein aag chashm-e-fitrat se tapakta hai mohabbat ka jalal phail jae na kahin aalam-e-idrak mein aag