un ka ya apna tamasha dekho jo dikhata hai zamana dekho waqt ke pas hain kuchh taswiren koi duba hai ki ubhra dekho rang sahil ka nikhar aaega do ghadi jaanib-e-dariya dekho tilmila uttha ghana sannata phir koi nind se chaunka dekho ham-safar ghair hue jate hain fasla rah gaya kitna dekho barf ho jata hai sadiyon ka lahu ek thahra hua lamha dekho rang udte hain tabassum ki tarah aaina-khanon ka dawa dekho dil ki bigdi hui surat hai yahan ab koi aur kharaba dekho ya kisi parde mein gum ho jao ya utha kar koi parda dekho dosti khun-e-jigar chahti hai kaam mushkil hai to rasta dekho sada kaghaz ki tarah dil chup hai hasil-e-rang-e-tamanna dekho yahi taskin ki surat hai to phir chaar din gham ko bhi apna dekho gham-gusaron ka sahaara kab tak khud pe bhi kar ke bharosa dekho apni niyat pe na jao 'baqi' rukh zamane ki hawa ka dekho