na hone ka guman rakkha hua hai ki hone mein ziyan rakkha hua hai zamin ke jism par qabren nahin hain khayal-e-raftagan rakkha hua hai sar-e-mizhgan mere aansu nahin hain suluk-e-dostan rakkha hua hai yahan jo ek charagh-e-zindagi tha na jaane ab kahan rakkha hua hai ye duniya ek tilism-e-ab-o-gil hai yahan sab raegan rakkha hua hai