un ke dil par gham-e-pinhan ka asar kya hoga jo idhar haal hua hai wo udhar kya hoga sab ke sab jalwa-e-aghaz-e-sahar mein gum hain kis ko malum hai anjam-e-sahar kya hoga zarra zarra pe ho jab khauf-e-khizan ka pahra phul par fasl-e-bahaaran ka asar kya hoga rah-e-dushwar bhi ho jae yakayak aasan wo agar sath hon ehsas-e-safar kya hoga tere andaz-e-nazar hi pe hain nazren sab ki dekhna hai tera andaz-e-nazar kya hoga jada-e-gham ke kham-o-pech se darne walo tum se duniya ka koi marka sar kya hoga aib ko wo jo hunar kahte hain kahne de 'zamir' aib har haal mein hai aib hunar kya hoga