tarikiyon mein nur sa phaila rahe hain hum

tarikiyon mein nur sa phaila rahe hain hum
zarron ko kaenat ke chamka rahe hain hum

samjho to aasman ki bulandi bhi kuchh nahin
socho to kis ka naqsh-e-kaf-e-pa rahe hain hum

aansu gire ki gham ki amanat chhalak gai
izhaar-e-gham ke sath hi pachhta rahe hain hum

ai kash zindagi ko mayassar ho lutf-e-did
ab tak asir-e-wada-e-farda rahe hain hum

ai ahd-e-nau ye silsila-e-jaur ta-kuja
kab se hayat-e-shauq ko bahla rahe hain hum

hum se na wo mile kabhi un se na hum mile
yun misl-e-rang-o-bu sada yakja rahe hain hum

zinat lughat ki harf-e-haqiqat hai ai 'zamir'
baatil ka har fareb-e-hasin kha rahe hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close