un ke ek jaan-nisar hum bhi hain hain jahan sau hazar hum bhi hain tum bhi bechain hum bhi hain bechain tum bhi ho be-qarar hum bhi hain ai falak kah to kya irada hai aish ke khwast-gar hum bhi hain khinch laega jazb-e-dil un ko hama tan intizar hum bhi hain bazm-e-dushman mein le chala hai dil kaise be-ikhtiyar hum bhi hain shahr khali kiye dukan kaisi ek hi baada-khwar hum bhi hain sharm samjhe tere taghaful ko wah kya hoshiyar hum bhi hain hath hum se milao ai musa aashiq-e-ru-e-yar hum bhi hain khwahish-e-baada-e-tuhur nahin kaise parhez-gar hum bhi hain tum agar apni gun ke ho mashuq apne matlab ke yar hum bhi hain jis ne chaha phansa liya hum ko dilbaron ke shikar hum bhi hain aai mai-khane se ye kis ki sada lao yaron ke yar hum bhi hain le hi to legi dil nigah teri har tarah hoshiyar hum bhi hain idhar aa kar bhi fatiha padh lo aaj zer-e-mazar hum bhi hain ghair ka haal puchhiye hum se us ke jalse ke yar hum bhi hain kaun sa dil hai jis mein 'dagh' nahin ishq mein yaadgar hum bhi hain