us se kya khak ham-nashin banti baat bigdi hui nahin banti wo bani ibtida-e-ulfat mein dam pe jo waqt-e-wapsin banti aadmi sab farishte ban jate aasman par agar zamin banti meri surat bani to khak bani qismat ai surat-afrin banti wade karte hi kya wo aa jate raat bhar zulf-e-ambarin banti kash sunta na koi shor o fughan dil ki ja chashm-e-surmagin banti tu ne aise bigad dale hain ek ki ek se nahin banti na chamakti jo husn ki taqdir kyun teri chand si jabin banti para-e-jeb se mere ai kash dast-e-wahshat ki aastin banti bazm-e-duniya thi qabil-e-jannat khub banti agar yahin banti tab-e-nazuk ka lutf jab tha 'dagh' nazninon mein naznin banti