un ke jaur-o-jafa un ke zulm-o-sitam sare aalam mein maruf-o-mashhur hain kya karen dil magar manta hi nahin dil ke hathon bade hum to majbur hain wah wah shaikh ji aap bhi khub hain itne tadke chale aa gae hain yahan raat pi li thi hum ne bahut tez-tar kya milen kya kahen ab to mazur hain kya wo aae bhi the kya chale bhi gae kya sabab hai ki hilti hai zanjir bhi ho gai hai sahar par nahin hai khabar kab chadha tha nasha kab se makhmur hain bola ja ke koi wo jo hain be-khata jin ko kahte hain sab 'ajiz'-e-bewafa hain wahi zeb-e-sang-e-dar-e-astan jam ke baithe hain aur shad-o-masrur hain