un ke wade pe eatibar aaya phir bhi dil par na ikhtiyar aaya aap ke dar pe dil-figar aaya jo bhi aaya wo ashk-bar aaya be-qarari thi dil ke rahne tak lut gaya dil to phir qarar aaya ashk aankhon mein bari bari se aae nam honton pe bar bar aaya wo na aae ye gham to hai lekin kam se kam lutf-e-intizar aaya chand nikla ho jaise badli se yun achanak khayal-e-yar aaya be-rukhi par mujhe hansi aai barhami badh gai to pyar aaya meri aankhon mein bas gain aankhen be-piye is qadar khumar aaya tera diwana josh-e-wahshat mein kar ke daman ko tar tar aaya mai to rindon mein ho gai taqsim tab hamara kahin shumar aaya shaikh badnam hai bahut 'salik' mai-kada mein kabhi-kabhaar aaya