shiddat-e-gham mein bhi meri ruh ko taskin hai

shiddat-e-gham mein bhi meri ruh ko taskin hai
dil ke lut jaane ka yun to waqia sangin hai

mah-washon ka ye naya tarz-e-sitam to dekhiye
puchhte hain wo ki ye kis baat par ghamgin hai

badh gai hai phul aur kaliyon se kuchh raunaq zarur
mere hone se ye duniya kis qadar rangin hai

kuchh na kuchh baqi hain shayad aur bhi zulm-o-sitam
kaun jaane kis liye phir sabr ki talqin hai

log kahte hain ki shair ka koi mazhab nahin
husn hai iman mera ishq mera din hai

hain bahut 'salik' qamar mein dagh dhabbe is liye
chand se tashbih dena husn ki tauhin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close