un ko ahd-e-shabab mein dekha chandni ko sharab mein dekha aankh ka e'tibar kya karte jo bhi dekha wo khwab mein dekha dagh sa mahtab mein paya zakhm sa aaftab mein dekha jam la kar qarib aankhon ke aap ne kuchh sharab mein dekha kis ne chheda tha saz-e-masti ko? ek shoala rubab mein dekha log kuchh mutmain bhi the phir bhi jis ko dekha azab mein dekha hijr ki raat so gae the 'adam' subh-e-mahshar ko khwab mein dekha