un ko apni khabar nahin hoti kash hoti magar nahin hoti subh-e-ishrat to kat gai lekin sham-e-gham mukhtasar nahin hoti aap mujh se na ruthte to meri duniya zer-o-zabar nahin hoti yunhi jo sab ke hath aa jae anqa be-baal-o-par nahin hoti khar bo deta is gali mein agar ye teri rahguzar nahin hoti mere marne ki phir dua mangen har dua be-asar nahin hoti