un ko dil de ke pashemani hai ye bhi ek tarah ki nadani hai wasl se aaj naya hai inkar tum ne kab baat meri mani hai aap dete hain tasalli kis ko hum ne ab aur hi kuchh thani hai haal bin puchhe kahe jata hun apne matlab ki ye nadani hai kis qadar bar hun gham-khwaron par kya subuk meri giran-jaani hai ghar bula kar wo mujhe lautte hain ye nai tarah ki mehmani hai hum se wahshat ki na le o majnun hum ne bhi khak bahut chhani hai khak udti hai jidhar jata hun kya muqaddar ki pareshani hai ghar bhi virana nazar aata hai hae kya be-sar-o-samani hai aai kyun un ki shikayat lab tak hum ko khud us ki pashemani hai kahin do din na raha jam ke 'hafiz' ek aawara hai sailani hai