us ko aazadi na milne ka hamein maqdur hai hum idhar majbur hain aur wo idhar majbur hai shab ko chhup kar aaiye aana agar manzur hai aap ke ghar se hamara ghar hi kitni dur hai lakh minnat ki magar ek baat bhi munh se na ki aap ki taswir bhi kitni badi maghrur hai is andheri raat mein ai shaikh pahchanega kaun band hai masjid ka dar to mai-kada kya dur hai ek rashk-e-ghair ka sadma to uth sakta nahin aur jo farmaiye sab kuchh hamein manzur hai mar gaya dushman to us ka sog tum ko kya zarur kaun si ye rasm hai ye kaun sa dastur hai zahid is ummid par milna hasinon se na chhod khuld mein nadan tere hi liye kya hur hai hashr ke din kya kahenge ye agar aaya khayal shikwa karna yar ka pas-e-wafa se dur hai kuchh 'hafiz' aisa nahin jis se ki tum waqif na ho aadmi wo to bahut maruf hai mashhur hai