un ko duniya ki bahaaren mujhko zanjiren milin

un ko duniya ki bahaaren mujh ko zanjiren milin
jis ne jaise khwab dekhe waisi tabiren milin

apne hi chehron pe guzra ajnabiyyat ka guman
dekhne ko jab hamein mazi ki taswiren milin

har qadam par tohmaten har sans mein zahr-e-alam
kya kya duniya mein hamein jine ki taziren milin

waqt ne apnae kya kya khair-maqdam ke usul
phul jin hathon mein kal the aaj zanjiren milin

nargisi aankhon ka kajal aansuon mein bah gaya
phul se rukh par pighalte gham ki tahriren milin

hum gharib-e-shahr the gumnamiyon ke darmiyan
un ki nisbat se magar hum ko bhi tashhiren milin

sang-o-tesha aab-o-sam dasht-e-junun dar-o-rasan
sirf ek lafz-e-wafa ki kitni tafsiren milin

aatish-e-ehsas-e-gham mein umr bhar jalte rahen
hum qalam-karon ko 'talib' kaisi taqdiren milin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close