un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kya karun mujh ko nazar ki aarzu apne jigar ko kya karun raat hi raat mein tamam tai hue umr ke maqam ho gai zindagi ki sham ab main sahar ko kya karun wahshat-e-dil fuzun to hai haal mera zubun to hai ishq nahin junun to hai us ke asar ko kya karun farsh se mutmain nahin past hai na-pasand hai arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kya karun hae koi dawa karo hae koi dua karo hae jigar mein dard hai hae jigar ko kya karun ahl-e-nazar koi nahin is liye khud-pasand hun aap hi dekhta hun main apne hunar ko kya karun tark-e-talluqat par gir gai barq-e-iltifat rahguzar mein mil gae rahguzar ko kya karun