ubhre jo khak se wo tah-e-khak ho gae sab paemal-e-gardish-e-aflak ho gae rakhti thi lag mere gareban se nau-bahaar daman gulon ke bagh mein kyun chaak ho gae the dida-ha-e-khushk mohabbat ki aabru kam-bakht un ke samne namnak ho gae aisa bhi kya mizaj qayamat ka din hai aaj pesh-e-khuda tum aur bhi bebak ho gae aate hi bazm-e-waz se chalte bane 'hafiz' do harf sun ke sahib-e-idrak ho gae