un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki hum ne ye kah diya ki mohabbat na ho saki shukr-e-jafa bhi ahl-e-raza ne kiya ada un se yahi nahin ki shikayat na ho saki shab ka ye haal hai ki teri yaad ke siwa dil ko kisi khayal se rahat na ho saki pa-bos ki bhi hum ko ijazat na de sake itni bhi tum se qadr-e-mohabbat na ho saki gharq-e-surur-o-sur mujhe pa ke dafatan naseh se tark-e-mai ki nasihat na ho saki khamoshiyon ka raaz-e-mohabbat wo pa gae go hum se arz-e-haal ki jurat na ho saki kar di zaban-e-shauq ne sab sharh-e-arzu alfaz mein agarche sarahat na ho saki lutf-e-mazid ki main tamanna to kar saka tum ye to kah sake ki qanaat na ho saki kyun itni jald ho gae ghabra ke hum fana ai dard-e-yar kuchh teri khidmat na ho saki waiz ko apne aib-e-riya ka raha khayal rindon ki saf saf mazammat na ho saki arbab-e-qal haal pe ghaalib na aa sake zahid se aashiqon ki imamat na ho saki aisa bhi kya itab ki saqi bachi-kuchhi aakhir mein kuchh bhi hum ko inayat na ho saki un se main apne dil ka taqaza na kar saka ye baat thi khilaf-e-murawwat na ho saki kyun aae hosh mein jo ibaadat na kar sake pir-e-mughan ki hum se itaat na ho saki 'hasrat' teri nigah-e-mohabbat ko kya kahun mahfil mein raat un se shararat na ho saki