tujh se girwida yak zamana raha kuchh faqat main hi mubtala na raha aap ko ab hui hai qadr-e-wafa jab ki main laiq-e-jafa na raha rah-o-rasm-e-wafa wo bhul gae ab hamein bhi koi gila na raha husn khud ho gaya gharib-nawaz ishq muhtaj-e-ilteja na raha bas-ki nazzara-soz tha wo jamal hosh-e-nazzargi baja na raha main kabhi tujh se bad-guman na hua tu kabhi mujh se aashna na raha aap ka shauq bhi to ab dil mein aap ki yaad ke siwa na raha aur bhi ho gae wo ghafil-e-khwab nala-e-subh-e-na-rasa na raha husn ka naz aashiqi ka niyaz ab to kuchh bhi wo majra na raha ishq jab shikwa sanj-e-husn hua iltija ho gai gila na raha hum bharose pe un ke baith rahe jab kisi ka bhi aasra na raha mere gham ki hui unhen bhi khabar ab to ye dard la-dawa na raha aarzu teri barqarar rahe dil ka kya hai raha raha na raha ho gae khatm mujh pe jaur-e-falak ab koi morid-e-bala na raha jab se dekhi abul-kalam ki nasr nazm-e-'hasrat' mein bhi maza na raha