un ko mere zabt-e-gham se bhi gila rah jaega

un ko mere zabt-e-gham se bhi gila rah jaega
mushkilen jab khatm hongi hausla rah jaega

rafta rafta dil bhi thahra aankh se aansu ruke
hum ye samjhe the ki ye gham jaan le kar jaega

ek ek kar ke zamin se sab gale mil jaenge
jaane-pahchanon se rishta yaad ka rah jaega

manzilon ki khwahishen jab tod dengi dil mein dam
jaane walon ke liye bas rasta rah jaega

aap ki aankhon mein utra hai to ujla ho gaya
kya khabar thi aks mera aaina ho jaega

nisbaten hum se zamin ki chhin gain 'parwin' to kya
aasmanon se hamara rabta rah jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close