un ko roz ek taza hila ek khanjar chahiye hum ko roz ek jaan nai aur ek naya sar chahiye iltifat o sargirani par khushi kya ranj kya kuchh bahana is se badh kar dida-e-tar chahiye kya dikhaen khushk lab do bund ke saqi hain sab pyas sahra-e-azal us ko samundar chahiye sach ki ek nannhi si konpal ko kuchalne ke liye jhut aur dushnam ke lashkar ke lashkar chahiye sabr ka daman-e-daulat hai amiron ka amir jabr ki daryuzgi ko sainkadon dar chahiye but banane pujne phir todne ke waste khud-parasti ko naya har roz patthar chahiye hum ne jis duniya ko thukraya tha un ke waste mil gae wo to usi duniya ka chakkar chahiye